'Bazaron Mein Karti Hain Jo Apni Numaish
Ae Bibiyo Kya Yaad Tumhein Koofa Nahi Hai
Khutba Bhi Diya Tha Toa Lehjay Mein Ali (A.S) K
Zianab (S.A) Ki Toa Aawaz Bhi Be Parda Nahi Hai'
-------------------------------------------------------------
'Har Ek Kaam Se Afzal Hai Kaam Zainab (S.A) Ka
Koi Hussain (A.S) Se Poochhay Muqam Zainab (S.A) Ka
Na Sirf Yeh K Malaik Sana Mein Hain Masroof
Qaseeda Parhtay Hain Saray Imam (A.S) Zainab (S.A) Ka
Yeh Aehtiram Ki Mairaj Thi Wafa K Liye
Kabhi Liya Nahi Ghazi (A.S) Ne Naam Zainab (S.A) Ka
Jahan Mein Aaj Bhi Jari Hai Majlis o Matam
Badal Saka Na Koi Bhi Nizam Zainab (S.A) Ka
Tumam Nehjay Balagha K Harf Jhoom Uthay
Diyar e Sham Mein Sun Kar Kalam Zainab (S.A) Ka
Hussain Ibn e Ali (A.S) Ki Sajayi Hai Mehfil
Hai Ek Shab Ko Meray Ghar Qeyam Zainab (S.A) Ka'
0 comments:
Post a Comment